Thursday, January 29, 2009
Monday, January 26, 2009
Tere liye...
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Zindagi, le ke aayi hai, beete dinon ki kitaab
Ghere hain, ab hamein, yaadein be-hisaab
Bin poochhe, mile mujhe, kitne saare jawaab
Chaaha tha kya, paaya hai kya, hamne dekhiye
Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair
Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair
Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair
Kitne sitam, hampe sanam, logon ne kiye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Saare sapne kahin kho gaye..
Phoolon se mehakTy khawaab..
SiTaron se jagmagaaTy khawaab..
Shabnam se barasTy khawaab..
Phir kabhi yun bhi hoTa hai k
palko ki daaliyun se Khawaabon
ke saare parinde urr jaaTy hain..
aur aankhein veeran si reh jaaTi hain"
Saare sapne kahin kho gaye..
Haaye hum kya se kya ho gaye..
Dil se Tanhaai ka dard jeeTa
Kya kahein hum pe kya kya na beeTa..
Tum na aaye, magar jo gaye..
Haaye hum kya se kya ho gaye..
Tumne humse kahin Thi jo baaTein..
Unko dohraaTi hain gham ki raatein..
Tumse milne ke din To gaye..
Haaye hum kya se kya ho gaye..
Koi shikva na koi gila hai..
Tumse kab humko yeh gham mila hai...
Haan naseeb apne hi so gaye..
Haaye hum kya se kya ho gaye..
Saare sapne kahin kho gaye..
Haaye hum kya se kya ho gaye..
Pyar ke liye chaar pal kam nahin the...
Kabhi tum nahin the kabhi hum nahin the
Pyar ke haseen kab yeh mausam nahin the
Kabhi tum nahin the kabhi hum nahin the
Yeh din barson ke baad aaya
Kuch tumhe, kuch hamein yaad aaya
Kasak phir yeh dil mein uthi hai
Honton pe baat aake ruki hai
Kabhi itne majboor to hum nahin the
Agar tum yeh dil maang lete
Jaaneman hum tumhe jaan dete
Tumhe kaise hum bhool jaate
Mar k bhi tum hamein yaad aate
Tumhe hai pata bewafaa hum nahin the
Saturday, January 24, 2009
Pareshani
main ne auroun se suna h k preshan hu main...
Tujh mein rab dikhta hai...
Tu hi toh jannat meri, Tu hi mera junoon
Tu hi to mannat meri, Tu hi rooh ka sukoon
Tu hi aakhion ki thandak, tu hi dil ki hai dastak
Aur kuch na janu mein, bas itna hi jaanu
Tujh mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu
Sajdhe sar jukhta hai
Yaara mein kya karu
Kaisi hai yeh doori, kaisi majboori
Meine nazron se tujhe choo liya
Kabhi teri khusboo
Kabhi teri baatein
Bin mange yeh jahan pa liya
Tu hi dil ki hai raunak,
Tu hi janmo ki daulat
Aur kuch na janoo
Bas itna hi janoo
Tujh mein rab dikhta hai
Ajab hai k...
na ruk sakta hu
na gharor h koi
na jhuk sakta hu
ajab h k
na arzo h koi
na payas h
na justaju koi
phr b aas h!
ajab h na k
jisy khona h
wo sath chal raha h
jiska gala ghont'na h
wo payar dil me pal raha h
ajab h k
jisne mera ujala cheena
di mujhe raat h
wo gaya ni!
aj b mere sath h
ajab h...k
mujhe us se nafrat h!
chahat b h us se be inteha
mohabbat b ba-kasrat h...
ajab h...bohat ajab h
ajab uljhanu ka shikar hu
ye kis manzil ka h safar? k
me skoon me hu
lekin be-qrar hu!
ajab h...
Uljhay tou...
toty to kirchiu ki had se guzar gaye
nafrat hui kisi se to be inteha hui
chaha to chahatu ki had se guzar gaye
hum ne Khuda se kuch b na manga kbi
magar tumhe manga to siskiu ki had se guzar gaye
Friday, January 23, 2009
Akhri tamanna...
Tamanna Phir Machal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Ye Mousam Hi Badal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Mujhe Ghum Hay K
Mene Zindagi Mein Kuch Nahi Paya
Yeh Ghum Dil Se Nikal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Nahi Milte Hum mujhse Tu Sab Humdard Hn Mere
Zamana Mujhse Jal Jay, ager Tum Milne Aajao
Ye Dunia Bhar Ke Jhaghray...
Bala Her Ek Tal Jaye, Ager Tum Milne Aajao!
Han... wo main hoon!
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Be chain main hoon, beqaraar main hoon na
Koi to ho aisa, jisko apna keh sakoon
Koi to ho aisa, jiske dil mein reh sakoon
Koi to kehta ek baar main hoon na
Jo bandhan toote, jo apne roothhe
Paas aa jaayein phir se dooriyaan
Ye kyun hota hai, k dil rota hai
Be bas ho jaati hai, ye zabaan
Apne to sarey is kinaare reh gaye
Tanha chala jo us paar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Be chain main hoon, beqaraar main hoon na
Jahaan bhi main jaaun, jahaan bhi main dekhoon
Sarey chehre begaany se hain
Kabhi koi tha, jo mera hi tha
Ye qisse ab afsaane se hain
Kal zindagi ne khel khele the kaye
Kuch log jeete, jeet ke sab le gaye
Hisse mein aaya jiske haar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Be chain main hoon, beqaraar main hoon na
Thursday, January 22, 2009
Kaise mujhe tum mil gayi...
Kismat pe aaye na yakin.
Utar aayi jheel mein
Jaise chaand utartaa hai kabhi
houley houley, dheere se.
Gunguni dhoop ki tarah se tarannum mein tum
Chhookey mujhe Guzri ho yun.
Dekhoon tumhe, Ya main sunoo.
Tum ho sukoon, Tum ho junoo.
Kyun pehle na Aayi tum?
Kaise mujhe tum mil gayi?
Kismat pe aaye na yakin.
Main to ye sochta tha ke aaj kal
Upar wale ko fursat nahi.
Phir bhi tumhe banake woh
Meri nazar mein chadh gaya.
Rutbe mein woh aur badh gaya.
Badley raaste jharne aur nadi,
Badley deep ki tim tim.
Chhede zindagi dhoon koi nayi,
Badley barkha ki rim jhim.
Badlengi rituyen adaa;
Par main rahoongi sada
Usi tarah teri bahon mein bahen daalke
Har lamha Har pal.
Zindagi sitaar ho gayee
Rim jhim malhaar ho gayee
Mujhe aata nahi
Kismat pe apni yakin
Kaise mujhko mil gayi tum
Tuesday, January 20, 2009
Ehmiat
agar kam do ge tu maghror kehlao ge,
agar ziada do ge to khud gir jao gy...
Monday, January 19, 2009
Just a Name!
A comedy scene from a hindi movie.
http://www.youtube.com/watch?v=Reofd_eh6Ao
Salaam-e-Subh
aghaz-e-subha
ghulab ki pankhrian kea krti hon gi,
jb wo muskra k
angrae le kar
khila karti ti...
magr ab...
tmhary hont na muskraen tu
subah ni hoti...
ay meri jan
pehle...
suraj ki kirny savera kea karti ti,
magr ab...
tmhari ankhien na khulien
har simt noor na bikherien
tu subah ni hoti...
din nahe charta,
tm se pehle...
suba hoti he kab ti!
wo tu bas ik naya suraj nikalta tha...
meri subah ho tm...
meri zindagi me any ka shukria,
subha karny ka shukria...
Malal - 2
k usy maf kru
jo pyar mene kea
kam se kam us se tu insaf kru,
lekin...
mera karb ya shaed uska gunha...
kuch itna zada h
k
usy me is dunia me
aur
asman wala apny jahan me b
saza de tu b kam h
han mera pyar ti wo,
bas isi baat ka tu malal h,
ghum h..
Ashnaye
kisi ki yad ho,
kisi ki parchae ban k,
mere dil k jharoku me abad ho,
tm...
ik kabool shuda dua ho,
sehra me uogay peyasy ik shajar k leye tasali ka jhonka ho,
bad e saba ho,
tm...
jisy k dekha ni,
par is husne na ashna ko bhol sku,
mere zoq e khus nighae ko zeba ni,
tm...
jis k sath k kbi chalna ni,
kbi milna ni,
par is dil ne talna ni,
irasy se hilna ni!
tm...
esi kyu ho?
k me pa ni sakta
bhula ni sakta
tme chor ni sakta
tmhri berukhi dekh k b
palat ni sakta
mu mor ni sakta
tm...
kea ho?
kaha ho?
shan e tareek ho?
ya roz ayan ho,
tm...
koi naye ibtada ho?
ya guzashta kisi kisy ki inteha ho?
tm...
han
tm!
Intikhab
Ijtinab karna hay
Ehtisab karna hay
Usay yaad rakhna hay
Intikhab krna hay
Saturday, January 17, 2009
Friday, January 16, 2009
Mehroomi
2. jhota, izzat se...
3. jald baz kmyabi se...
Thursday, January 15, 2009
Peace
and
amman kabhi bura nahe hota....
Friday, January 9, 2009
Monday, January 5, 2009
Sittam!
k ab ye lafz b rusva boht h
udasi ka sabab me kea btau
gali gochoo me sanata boht h
na milny ki kasam kha kar b mene
tje har RAH me dhonda boht h...
ye ankhe aur kea dekhien ksi ko
in ankhu ne tje dekha boht h
na jany kyu bacha rakhie hn ansu
abhi shaed mje rona boht h
tje maloom tu hoga mere hum dam
tje ik shaks ne chaha boht h...