Saturday, August 6, 2011
Mohabat ka nasheman
Mohabat k nasheman me Mosam khizan ka tha,
Meri mati me na wo khil ska najany phol kis jahan ka tha,
Aabiari bhi ki khob usy seencha magr,
Ulfat.e.skoot na tha, poda wo bad.e.ravan ka tha,
Dabo k kashti meri wo yu boly ek din,
Kasur tou akhir sara badbaan ka tha..
Bhol kesy sakty hn hm usko saqi,
Sathi wo hayat.e.rafta k karvan ka tha,
Bewafae ab tou thehri h fitrat iski,
Maqsad najany kia takhleeq e insaa ka tha,
Jany walu ko na di hum ne phir awaz kbi,
Taqaza kuch esa sham k us samaa ka tha..
Ehd.e.wafa do chandd keye tou thy usne Tåñvìr...
Mafhoom e ishq najany usy yad kaha ka tha.
(Tanvir Akhtar)
Labels:
4U...,
Tanvir Akhtar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment