Sunday, December 28, 2008

Mohabbat...

meri ankho pe marta tha

meri batu pe hasta tha

najany shakhs tha kesa

mujhe khony se darta tha

mujhe jab bhe wo milta tha

yehi har bar kehta tha

suno!

agar me bhol jau tu

agar me rooth jau tu

kabi wapis na au tu

bhula pao gi ye sab kuch?

yu he hasti raho gi kea?

yu he sajti raho gi kea?


yehe bate hain bas uski

mujhe bas hai pata itna

mujhe wo pyar karta tha

mujhe khony se darta tha...

AZMAEESH...

wo bar bar mujhe azmata raha

misl-e-shama wo mujhe jalata raha

jaan bhe kaha usne mujhe magar

dushmanu ki tarha tarpata raha

ungli pakar kar aksar andhery rastu me

wo bar bar mujko girata raha

esi bhi bhala kia mohabat Faraz

me tot'ta raha wo muskrata raha...