Sunday, August 7, 2011

Churian

ajnabi rastoon par
ajnabi chehry mily
dunia bani dewar
har simt pehry mily

kbi tou urty thy badal
sunty thy jb tum hal-e-dil
ab tou behty hoy jharny
r darya bhi thehry mily

bany thy kbi paraye apny
dekhy thy hum ne sapny
ab tou ghar apny me bhi
mjhko dushman mere mily

kal shaam khola jo saman
hoye hum dekh k heran
toti hue churian mili
bhegy hoye khat tere mily

Saturday, August 6, 2011

Mohabat ka nasheman



Mohabat k nasheman me Mosam khizan ka tha,
Meri mati me na wo khil ska najany phol kis jahan ka tha,
Aabiari bhi ki khob usy seencha magr,
Ulfat.e.skoot na tha, poda wo bad.e.ravan ka tha,
Dabo k kashti meri wo yu boly ek din,
Kasur tou akhir sara badbaan ka tha..
Bhol kesy sakty hn hm usko saqi,
Sathi wo hayat.e.rafta k karvan ka tha,
Bewafae ab tou thehri h fitrat iski,
Maqsad najany kia takhleeq e insaa ka tha,
Jany walu ko na di hum ne phir awaz kbi,
Taqaza kuch esa sham k us samaa ka tha..
Ehd.e.wafa do chandd keye tou thy usne Tåñvìr...
Mafhoom e ishq najany usy yad kaha ka tha.
(Tanvir Akhtar)