Wednesday, February 10, 2010

Kaha ho tum chaly ao

Kaha ho tum chaly ao,
mohabt ka takaza h,
gham e dunia se ghabra k,
tmhe dil ne pukara h,
tmhri be rukhi ik din,
hmari jan le le gi,
qasam tmko zra socho k dastor e wafa kea h?
Najany kis liye duniya ki nazrien phir gæ hum se,
tmhe dekha tmhe chaha,
qasoor isky siva kea h?
Na hai faryad honto pe,
na ankhu me koi anso,
zamany se mila jo gham usy geeto me dhala h. . .

Friday, January 22, 2010

Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Jitni thi khushiyaa
Sab kho chuki hai
Bas ek gham hai ki jaata nahi
Samjha ke dekha behla ke dekha
Dil hai ki chain isko aata nahi
Aarzoo hai ki hai angarai
Aag hai kab aankhon se behna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Rut aa rahi hai Rut jaa rahi hai
Dard ka mausam badla nahi
Rang yeh halka itna hai gehra
Sadiyon main hoga halka nahi
Halka nahi
Kaun jaane kya hona hai
Hum ko hai ab kya kya sehna

Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
kabhi alvida na kehna